Twitter

Follow palashbiswaskl on Twitter

Tuesday, July 14, 2015

Shabnam Hashmi Strongly Condemn Witch hunting by Central Govt


Strongly Condemn Witch hunting by Central Govt

Teesta has been cooperative throughout and has provided every single information that was asked by the investigative agencies.

The raid on office of the Citizens for Justice and Peace and the residence of Teesta Setalvad and Javed Anand is absolutely uncalled for.

Teesta is being hounded because she continues to fight for justice for the victims of 2002 carnage and many cases are in the final stages in the court.

It won't be easy to get clean chits like they have been getting so far and hence the panic and witch hunting.

Mr Modi and Amit Shah you might be at the top positions today and you might kill and throttle all dissent possible but the history will not forgive you.

Capturing power through dubious means does not make a man clean.

Yeh Gauhar ki Nazm Teesta ke naam

Woh chahte hain raushni ke sab chiragh gul Karen
Woh chahte hain zindigi ho zulmaton ki qaid mein
Woh chahte hain fikr ki har eik rah rok dein
Woh chahte hain sab chalen jihalaton ke daur mein

Woh chahte hain har khushi musibaton mein qaid ho
Woh chahte hain har taraf kadooraton ka daur ho
Woh chahte hain zindigi pe bandishen lagi rahein
Woh chahte hain har basher ho bandishon ki qaid mein

Har eik phool ki qaba lahoo se dagh dagh ho
Khizan ke daam mein ghri, lahoo lahoo bahar ho
Junoon hi junoon ho, Qatar dar Qatar ho
Har eik chaman ka pairahan sharam se tar tar ho

Magar yeh kaun log hain, chiragh haath mein liye
Har eik mahel ki oat mein, har eik gali ke mod par
Kahin pe ban ke shakh-e-gul, kahin pe ban ke sang-e-rah
Kahin pe ghaaas ki tarha, kahin pe ret ki tarha
Kahin pe laher-e-aab hain, kahin pe masti-e-saba
Kahin pe mai kasheed hain, kahin pe jam-e-jawidan

Yeh jo bhi hain ajeeb hai, mitaye mit na payenge
Yeh kul bhi hain, yeh juz bhi hain, tumhen nazar na ayenge

Yeh zid pe hain ke raushni ka har chiragh jal utthe
Yeh zid pe hain ke zindigi mein raushni bikher dein
Yeh jo bhi hain ajeeb hai, mitaye mit na payenge
Yeh kul bhi hain, yeh juz bhi hain, tumhen nazar na ayenge


--
Pl see my blogs;


Feel free -- and I request you -- to forward this newsletter to your lists and friends!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Welcome

Website counter

Followers

Blog Archive

Contributors